Alone or pain shayari is often connected to strong relationships. When someone we love leaves us, we look for shayari to express our sadness, loneliness or single, and heartbreak. Dard Bhari Shayari in English (pain-filled poetry) is a beautiful way to express these feelings in a poetic form.
In this article, we have gathered two-line dard bhari shayari in English on life, sadness and broken hearts (breakups). These shayari reflect real emotions and true experiences. They are meant for anyone who has loved deeply, felt loss, or walked through silent pain in life.
Table of Contents
ToggleDard Bhari Shayari in English
Kitna hi dard o gham ho shikayat na kijiye
Warna huzoor aap mohabbat na kijiye.
Kya mila tumhein saari umar mohabbat kar ke
Ek ronay ka hunar aur ek raaton ka jaagna.
Ab kisi dard ka shikwa na kisi gham ka gila
Meri hasti ne bari dair mein paaya hai mujhe.
Tum gaye to zindagi ruk si gayi
Magar waqt ke saath saansen chalne lagin.
Naam na le meray saamne mohabbat ka
Naam to leta hai dil mera toot jaata hai.
Tamaam chaara-garon se to mil chuka hai jawaab
Tumhein bhi dard-e-mohabbat sunaaye detay hain.
Dil ki basti mein ujaala hi ujaala hota
Kaash tum ne bhi kisi dard ko paala hota.
Khul nahi sakti hain ab aankhein meri
Ji mein yeh kis ka tasawwur aa gaya.
Raat guzray na dard-e-dil thehray
Kuch to barh jaaye kuch to ghatt jaaye.
2 Line Dard Shayari in English
Chhor do mujhe tanhaai mein
Raabtay ab azaab lagtay hain.
Two line dard bhari shaari in English.
Tumhaaray chhor jaanay ke baad
Tumhaari yaad aur bhi zyada aati hai.
Dono ne kiya hai mujh ko ruswa
Kuch dard ne aur kuch dawa ne.
Tanhaai behtar hai jhootay logon
Se aur be‑maqsad baaton se.
Nafrat karna to hum ne kabhi seekha hi nahi
Main ne to dard ko bhi chaha hai apna samajh kar.
Bohat dard hain ai jaan-e-ada teri mohabbat mein,
Kaise keh doon ke tujhe wafa nibhaani nahi aati.
Dekho na kitnay udaas hain tumhaaray bina hum
Taras nahi aata tumhein hum ko yun tanha chhor kar.
Na kiya kar apne dard ko shayari mein bayaan ai dil
Kuch log toot jaate hain ise apni daastaan samajh kar.
Log kehte hain har dard ki ek hadd hoti hai
Shayad unhon ne mera haddoon se guzarna nahi dekha.
Aawaaz mein thehraav tha, aankhon mein nami si thi
Aur keh raha tha main ne sab kuch bhula diya.
Full Sad Shayari in English
Main hoon, dil hai, tanhaai hai
Tum bhi hotay to acha hota.
Tanhaai se kuch is qadar dosti ho gayi hai
Ke ab mehfil se darr lagne laga hai.
Kitni fikr hai qudrat ko meri tanhaai ki
Jaagtay rehtay hain raat bhar sitaaray meray liye.
Jis par zehar asar nahi karta
Tanhaai use bhi maar deti hai.
Manzil bhi us ki thi raasta bhi us ka tha
Ek hum hi akelay thay qaafla bhi us ka tha.
Apni tanhaai mein behtar hoon
Mujhe zaroorat nahi aarzi sahaaron ki.
Jis ne har pal saath nibhaaya hai
Woh koi aur nahi mera saaya hai.
Tanhaaiyon mein sukoon hai
Mehfilon mein dil toot jaatay hain.
Main ne logon ki bheer mein
Logon ko logon ke liye tarastay dekha hai.
Akailay reh jaatay hain woh log
Jo khud se zyada doosron ki fikr kartay hain.
Saaye ki tarah saath raha tera tasawwur
Tanhaai bhi hum ne kabhi tanha nahi guzaari.
Yun na kahoon ke qismat ki baat hai
Meri tanhaai mein tera bhi haath hai.
Zindagi Dard Bhari Shayari
Yeh tanhaai ab zindagi ko dard dene lagi hai
Isi liye jeenay ki umeed ab meri tootne lagi hai.
Bayaan karna mohabbat ko aasaan na hua tha
Ye to dard hai kaise keh doon ke ye tumne diya hai.
Bas jaatay hain dil mein ijazat liye baghair
Woh log jinhein hum zindagi bhar paa nahi saktay.
Woh dard hi na raha warna ai mata‑e‑hayaat
Mujhe gumaan bhi na tha main tujhe bhula doonga.
Zindagi aajkal na jaane
Kaise kaise chehray dikha rahi hai.
Mohabbat khoobsurat hogi kisi aur duniya mein
Idhar to hum par jo guzri hai hum hi jaante hain.
Jab se mujhe pyaar mein mili bewafai hai
Tab se meri zindagi mein dard aur tanhaai hai.
Dukh Bhari Shayari in English
Bichhar kar jeenay ki dua de gaya mujhe
Woh shakhs yeh kaisi saza de gaya mujhe.
Tor gaya woh hum se har ta‘alluq faqat itna keh kar
Ke ujray huay logon mein hum basa nahi kartay.
Bohat ajeeb thay kam‑bakht bhooltay hi nahi
Woh chand roz jo tere saath guzaaray hum ne.
Hum ne kaanton ko bhi narmi se chhua hai aksar
Log to be‑dard hain phoolon ko bhi masal detay hain.
Yeh keh kar us ne mujhe chhor diya
Tere apnay bohat hain tujhe rulaanay ke liye.
Main ne chhora to toot jaayega…
Us se keh do ke chhor jaaye mujhe.
Muddat baad us ne poocha kahan rehtay ho
Hum ne muskura ke kaha teri talaash mein.
Bohat aasaan hota hai kisi ko yun bhula dena
Meray liye yahi kaam zara mushkil nikla.
Jo rishta baar baar aansu denay lagay
Samajh lein us ne apni muddat poori kar li.
Dil ki basti veeraan kar ke chala gaya
Jo shakhs kehta tha bara pyaar hai tum se.
Rooth’ti hamesha khushiyan hi hain
Dukhon ke kahan itnay nakhray hotay hain.
Haan yaad hai us ke kuch aakhri alfaaz
Tum meray baad mohabbat ko bhi taras jao ge.
Akelapan Dard Bhari Shayari
Akelay reh kar main ne khud se ek waada kiya
Har dard ko muskurahat mein chhupa liya.
Be‑intahaa dard de kar mujhe
Tanhaai ki aur le ja rahi hai.
Akelepan ki aadat ho jaaye to
Kisi ka saath bhi accha nahi lagta.
Baray shauq se chhoda tha us ne mujhe apne haal par
Magar in aankhon mein shayad ab bhi tera intezaar baqi hai.
Yeh akelapan ka safar bhi kat jaayega
Jis din gham ka baadal hat jaayega.
Teri aankhon mein aansu na dekh saka
Main saari raat chain se na so saka.
Baray hi haseen andaaz se us ne dil par waar kiya
Pehle pyaar kiya phir akelapan de kar darkinaar kiya.
Khwab boya hai main ne aur akelapan kaata hai
Is pyaar‑e‑mohabbat mein yaaro ghaata hi ghaata hai.
Hamaaray is akelaypan ne humein jeena seekha diya
Bachi hamaari yeh hansi to use hum ne pehle hi bhula diya.
Meri tanhaai dekh kar udaasiyaan bhi ro pari
Jab muskurane ki koshish ki to meri gustakhiyaan ro pari.
Tere jaane ke baad main ne kitnon ko yun aazmaaya hai
Magar koi bhi mere is akelaypan ko door nahi kar paaya hai.
Tumhaaray qareeb hum kuch is tarah aatay gaye
Tanhaaiyon ke aur qareeb jaatay gaye.
Breakup Shayari in English
Tere siwa bhi kahin thi panah bhool gaye
Nikal ke hum tere mehfil se raah bhool gaye.
Ab aankhon mein nami hai, lekin dukh nahi,
Tum se juda huay to khud ko paa liya.
Be‑jaan to main ab bhi nahi Faraz
Magar jise jaan kehte thay woh chhor gaya.
Jurtay huay dekha nahi tootay huay dil ko
Gir jaayen jo aansu, to uthaye nahi jaate.
Jo khamoshi se alvida kehte hain
Bohat shor karte hain dil mein.
Ek muddat se woh shehar mein nahi tha
Ab aaya hai to milne par pabandi hai.
Pyaar nahi kiya to karke dekh lo yaar,
Zaalim har dard sehna sikha deta hai.
Kaun deta hai umar bhar ka sahaara Faraz
Log to janaaze mein bhi kandhay badalte rehte.
Ab to apne bhi mukar jaate hain
Wada kar ke, mukar jaate hain.
Painful Broken Heart Shayari
Us ki hansi mein chhupa tha mera sukoon
Ab woh hansi bhi kisi aur ki hai.
Jeetay ji qadr‑e‑bashar ki nahi hoti pyaaray
Yaad aaye gi tujhe meri wafa meray baad.
Woh apna kaam kuch is tarah sar‑anjaam de gaye
Zinda bhi chhor gaye aur jaan bhi le gaye.
Hum kisi par ungli uthaayen bhi to kyun
Hamaaray daaman mein bhi to hazaar kaantay hain.
Meray tabaah honay ki muraad rakhta hai koi
Chalo isi bahaanay humein yaad rakhta hai koi.
Zakhm de ke na pooch dard ki shiddat
Dard to dard hai thora kya zyada kya.
Main tere inkaar ki wajah jaan gaya
Teri khamoshiyon ko main pehchaan gaya.
Mehfil se door main akela ho gaya
Soona soona mere liye har mela ho gaya.
Ek hadd tak dard sehne ke baad
Insaan dard sehna seekh jaata hai.
Tumhare baghair har lamha khaali lagta hai,
Time chalta hai, dil nahi.
Us ke waday jhoot niklay
Mohabbat sach thi, par naseeb nahi.
Woh saada sa pyaar tha magar anjaam ajeeb nikla
Khwab sachay thay, par khwabon ka mehal jhoot nikla.
Khirad dhoondhti reh gayi wajah-e-gham
Maza gham ka dard-aashna le gaya.
Tum miltay to acha hota, na miltay to behtar
Magar jo beech mein chhoda, woh sab se badtar.
Dard Quotes in English
Woh jo kehtay thay kabhi saath nibhaayen ge
Ab naam tak lena gawaara nahi.
Kis se umeed karein koi ilaaj dil ka
Chaara-gar bhi to bohat dard ka maara nikla.
Akele chalna seekh lo kyunki
Sahara kab dhokha de jaaye koi nahi jaanta.
Main ne khwab saja kar tumhein sonp diye,
Tum ne woh khwab bhi kisi aur ko de diye.
Khuda ke faislay par shak nahi,
Shayad tum mere liye nahi banay thay.
Ajeeb haal tha us ke jaane ke baad
Nikalte thay aansu, khamoshi se.
Maseeh‑e‑waqt sahi hum ko is se kya lena
Kabhi milay bhi to kuch dard-e-dil barha lena.
Woh jo kabhi mera tha, ab nahi
Ye to dil ka, qissa‑e‑gham nahi.
