When we deeply desire someone, it becomes something greater than ourselves. Chahat Shayari is often used to express romantic love or intense longing. If you truly love someone from the heart and want to share your endless feelings with that special person, then this Chahat Shayari in English is perfect for you.
In this article, we have brought you the best and most emotional Chahat Shayari in English, filled with the pain of true love, the depth of romance, and the sincerity of positive emotions. You can use these for your WhatsApp status, Instagram captions, Facebook posts, or to share with someone special.
Table of Contents
ToggleTop Chahat Sayari in English
Tumhare waste hi jee rahe hain
Hamari chahaton ka maan rakhna.
Ghar baar chhor kar woh faqeeron se ja mile
Chahat ne badshahon ko mehkoom kar diya.
Ghazab hai yeh ehsaas-e-warastagi ka
Ke tujh se bhi khud ko bari chahta hoon.
Umar bhar ko mera hona bhi nahi chahta woh
Mujh ko aasani se khona bhi nahi chahta woh.
Mujhe haasil nahi kuch zindagi se
Magar kyun aur jeena chahta hoon.
Kone mein simat kar sona chahta hoon
Zamane se chhup kar rona chahta hoon.
Tujhe bhoolane ki isi zid pakri hai
Zabardasti kisi aur ka hona chahta hoon.
Chahat itni mukhtasar jaana
To phir yaadein be-shumaar kyun.
Yeh dil had se guzarna chahta tha
Magar majboor ho kar reh gaya hai.
Muskura kar tumhari chahat ne
Mujh se jeene ki chaah le li hai.
Tujhe is gaon se jana hai ek din
Haveli kyun banana chahta hai.
Chahat Shayari 2 Line
Kahan kuch bhi adhoora chahta hoon
Thaka hoon aur thakna chahta hoon.
Yeh mumkin to nahi par kya bura hai
Ja sab achha hi achha chahta hoon.
Hum itna chahte the ek doosre ko Zafar
Main us ki aur woh meri misaal ho ke raha.
Ek chahat hoti hai apnon ke saath jeene ki
Warna pata to sab ko hai marna to akele hi hai.
Meri wahshaton ka sabab kaun samjhe
Ke main gumshuda qaafila chahta hoon.
Safar se laut jana chahta hai
Parinda aashiyana chahta hai.
Main jis lamhe ko zinda kar raha hoon muddaton se
Wohi lamha mera inkaar karna chahta hai.
Chahat ghamze jata rahi hai
Wahshat sahra dikha rahi hai.
Darmiyan koi faasla bhi nahi
Meri chahat woh jaanta bhi nahi.
Main chahta to kab ka use mana leta
Magar woh rootha nahi tha badal gaya tha.
Teri chahat ki hai itni shiddat
Pa liya tujh ko to mar jaaunga.
Sad Chahat Shayari In English
Ae kaash tum bhi mujhe yun chaho
Jaise dard mein koi sukoon chahta hai.
Samandar chhor kar sahra mein aaya
Yahan darya hi darya chahta hoon.
Pehle seerat sanwaar lo apni
Phir zamaane ko tum khitaab karo.
Aaj kya jaane kya hai hone ko
Ji bohat chahta hai rone ko.
Kya chahti hai hum se hamari yeh zindagi
Kya qarz hai jo hum se ada ho nahi raha.
Jahan yeh chaand dekha ja raha hai
Wahan sooraj ugaana chahta hoon.
Ab is maqam pe laayi hai zindagi mujh ko
Ke chahta hoon tujhe bhi bhula diya jaaye.
Ab aur is ke siwa chahte ho kya Mila
Yeh kam hai us ne tumhein muskura ke dekh liya.
Ghareeb ko havas-e-zindagi nahi hoti
Bas itna hai ke woh izzat se marna chahta hai
Khushi kahan hum to gham chahte hain
Khushi to use de do jise hum chahte hain.
Aql kehti hai ke sauda hai ziyan ka
Aur tujhe dil be-tahasha chahta hai.
Ek safar mein koi do baar nahi lut sakta
Ab dobara teri chahat nahi ki ja sakti.
Chahat Shayari for Girlfriend
Nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
Main un ki nazar dekhna chahta hoon.
Meri saada si muskurahat mein
Tumhari chahat ke rang bolte hain.
Woh mere ilawa mujhe chahta hai
Bari mukhtalif hai kahani ki soorat.
Sab se pyara lagta hai mujhe yeh khaas din
Jise guzarana nahi chahti main aap ke bin.
Ab aayein ya na aayein idhar poochte chalo
Kya chahti hai un ki nazar poochte chalo.
Haan kisi ko bohat chahte the hum
Khair ab baat purani ho gayi.
Apni odhi hui shawl mujhe de jao
Main aap ke lams mein kuch dair jeena chahta hoon.
Jaanta us ko hoon dawa ki tarah
Chahta us ko hoon shifa ki tarah.
Haseen teri aankhen haseen tere aansu
Yahin doob jaane ko ji chahta hai.
Us ka mukhtasar sa rabta bata raha hai
Woh apna raasta alag karna chahta hai.
Tum ne samjha hi nahi aur na hi samajhna chaha
Hum chahte hi kya the tujh se tumhare siwa.
Mere hi ghar mein rehna chahti hai
Mohabbat dar-badar hote hue bhi.
Chahat Shayari for Boyfriend
Main chahta hoon ke tujh sa dikhai doon main bhi
Jamaal-e-yaar kabhi mere khad o khaal mein aa.
Mujhe shak hai hone na hone pe Khalid
Agar hoon to apna pata chahta hoon.
Main chahta hoon taalluq ke darmiyan parda
Woh chahta hai mere haal par nazar karna.
Yeh aab-deeda thehar jaaye jheel ki soorat
Ke ek chaand ka tukra nahana chahta hai.
Khata to tab ho hum haal-e-dil kisi se kahen
Kisi ko chahte rehna koi khata to nahi.
Sun kisi din tu mere gham ki kahani
Tujh ko dard-e-dil batana chahti hoon.
Duniya ko agar pata chal jaaye kitna chahta hoon tujhe
Aadhi rashk se mar jaaye aadhi hasad se mar jaaye.
Jab se tumhare deed ki chahat nikal gayi
Dil hai kahin dimaag kahin aur nazar kahin.
Muhabbat Shayari in English
Woh log aksar mujhe yaad aate hain
Jinhein main dil se bhula dena chahta hoon.
Ruswai ke darr se rakh na sake mohabbat ka bharam
Yeh sach hai woh chahta mujhe ghazab ka tha.
Mujhe chahte honge aur bhi chahne wale
Magar mujhe mohabbat apni mohabbat se hai
Shola-e-ishq bujhana bhi nahi chahta hai
Woh magar khud ko jalana bhi nahi chahta hai.
Kya kaha ishq raqs nahi karta
Yeh chahe to zanjeer ko payal kar de.
Dil ki chahat ko aaftaab karo
Apni seerat ko mahtaab karo.
Ek chahat thi aap ke saath jeene ki
Warna mohabbat to kisi aur se bhi ho sakti thi.
Hum to jeena hi nahi chahte the
Tera jo deedaar hua to zindagi se mohabbat kar baithe.
Chahat khuloos ki kuch kam na thi
Kam-shinaas log daulat par mar gaye.
Woh chahta hai ke hum us ki dastaras mein rahein
Kisi ka ho ke rahein yeh use gawara nahi.
Dil bad-khu ki kisi tarah raunat kam ho
Chahta hoon woh sanam jis mein mohabbat kam ho.
Chahat Par Shayari in English
Zamana aur abhi thokrein lagaye humein
Abhi kuch aur sanwar jana chahte hain hum.
Hum hi ne tark-e-taalluq mein pehel ki
Woh chahta tha magar hausla na tha us ka.
Mere har lafz mein jo bolta hai mujh se barh kar
Mere har lafz ki mujh se wazahat chahta hai.
Agar aap duniya mein kaamyab hona chahte ho to
Pehle nakaami ka istiqbaal karne ka hausla paida karein.
Phir yun hua darmiyan aa gayin buzurgon ki pagriyan
Main chahta tha baat tere ghunghat pe khatam ho.
Patharo aao ke nadim hain shabeehein khud par
Aaine apni jurrat ki saza chahte hain.
Kuch kehna chahte the ke khamosh ho gaye
Dastaar yaad aa gayi sar yaad aa gaya.
Jaane phir munh mein zabaan rakhne ka masraf kya hai
Jo kaha chahte hain woh to nahi keh sakte.
Chahta yeh hoon ke be-naam o nishaan ho jaaun
Shama ki tarah jalun aur dhuan ho jaaun.
Hum nahi chahte tumhare saath kisi aur ka taalluq ho
Tumhein nafrat bhi karni ho to woh bhi faqat hum se hi karna.
Bana lo use apna jo tumhein dil se chahta ho
Khuda ki qasam yeh chahne wale bari mushkil se milte hain.
Tere ghuroor ko dekh kar teri tamanna chhor di hum ne
Zara hum bhi to dekhen kaun chahta hai tujhe hum se zyada.
